Ek Aakhri sawaal ka jawaab bhi mil jaata
Toh humari bechaini ki koi wajah na bachti…
Is pal ki khamoshi ko main shabdon mein kya bayaan karun,
Jab alfaaz k moti dhundey toh jazbaaton ne dhoka de diya
Samay k is adhurey paimaane ki aas bhi kuch aduri hai
Yun toh mere har taraf pade hain khaali gilaas, par ab abhi meri pyaas kuch adhuri hai
Is Kismat ki bhi maar hai anokhi…
Jab botalon ki mehfilein thi rangeen, toh imaan ne dhoka diya
Aur phir jab beimaani ki adaatein pad gayin, toh sammaan ne dhoka diya.
Jab phoolon ki khusbuon k peechey chale, toh ehsaas ne dhoka diya
Aur jab nazron ki sunne ki maani, toh uske libaas ne dhoka diya.
Haan shabdon ka main jaal bicha raha hun
Haan paheliyon k jariye mein khayaal bicha raha hun
Sach ko is shayari ki parchai k pichey dhakeley,
Main apne beichain dil ka haal bicha raha hun
Par galti sirf meri hai ye ilzaam na lunga
Aur laakh tu puchey mujhse, ab tere main sawaal na lunga…
Kyunki galtiyon ko ginaane se humare saal wapas na aayengey
Aur jawabon ko paa kar bhi ab who khayaal wapas na aayengey
Ab keh do ki maine dhoka diya
Haan keh do ki chahat meri hi kum thi…
Par haste hui aankhon k ye aansu phir bhi girengey
Aur mayoos dil k aangan mein sapne phi bhi khilengey
Ek aakhri ilzaam bhi ab mil jaaye toh gum nahi
Kyunki mere zameer ka sach aaj bhi kum nahi…
Jab ehsaason ka sailaab maanga toh lamhon se dhoka mila
Aur phir jab khudgarzi ka khitaab manga toh apno se dhoka mila
Jab saath ki ek aakhri bheekh maangi toh dayaa se dhoka mila
Aur jab yaadon se nikaalne ki jung ladi toh hayaa se dhoka mila

Kuch kehne ko ab bacha hi kya hai...
bas sard hawaon k kuch manjar hain
aur ruthi lehron k kuch samandar hain

**********************
Give back my tryst with that moment of love
Cos I seek a turn back in time
It is moments that might never seem blurred
The one that are frozen but still shine
I demand answers to question that don’t really matter
I hide behind verses to not disclose my feelings that lie shatter
I seek to swim across in an ocean, never to rise again
I seek to become mad in a way that I may never be wise again
*********************

IMAGE SOURCE - This picture is from the movie, My Sassy Girl.
17 comments:
Beautiful expression, beautiful lines. The pain is so evident.
Bahut achhe.
It reminds me of a song,
Turn the page I need to see something new
For now my innocence is torn
Cheers,
Blasphemous Aesthete
it's awesome :D <3
loved it.....
simply amazing
its awesum bro.....very well written
wowwwwwwwwwwwwwwwwww....it amazing..!!!
wowwwwwwwwwwwwwwwwww....it amazing..!!!
halo..
it was a pleasure to read ua blog aftr a long...
its beautiful :):)
jazbat parchaiyon ki tarah hote hai...har pal , sath chalte hai aur hum sulagte rehte hain unhi khayalon me..
truely awesome work
Tum Saale bas yahi sab kia karo no need to stay in touch....... ab mere Hols khatam....... Bhak
अधूरे अल्फाज - वाह - बहुत खूब
Awesome ... poem bhiya!!
jst loved it :)
tht "zaamer" line was fabulous,cant even define how true it was...when i felt it !!
nicely written..
Kittu !!
Hey Pulkit,
Its almost a month have gone but you have not written any new content for this blog, are you fine man?
Regards
Irfan
I share the same views. Liked your blog very much.
loved the last words in english.
the hindi poetry do makes one think about the pain love symbolizes along with blessings :)
Congratulations :) I really feel honored to share a position in a competition with such a remarkable blogger like you :) :)
I feel so blessed today :)
superb is the word... I just came across your blog.. just loved the feel.. even I write such, but mine are mostly in English... yours being in hindi, touch the core of the heart..
WOW! TRULY AMAZING...
Aab shabdoon mein kya baayeein karun...alfaaz naa hain...hah!too gud buddy!
regards..
Riya
Hi,
Congratulation you got PR2 for this blog!
But it seems you are out of town or something, we didn't find any new content for this blog?
Regards
Post a Comment